Om jai Lakshmi Mata
Maiya jai Lakshmi Mata
Tumko nishdin sevat
Hari Vishnu Vidhata
Om jai Lakshmi Mata
Uma Rama Brahmani
Tum hi jag-mata
Surya-chandrama dhyavat
Narad rishi gata
Om jai Lakshmi Mata
Durga roop niranjani
Sukh sampatti data
Jo koi tumko dhyavat
Riddhi-siddhi dhan pata
Om jai Lakshmi Mata
Tum patal-nivasini
Tum hi shubhdata
Karma-prabhav-prakashini
Bhavanidhi ki trata
Om jai Lakshmi Mata
Jis ghar mein tum rahti
Sab sadgun aata
Sab sambhav ho jata
Man nahi ghabrata
Om jai Lakshmi Mata
Tum bin yagya na hote
Vastra na koi pata
Khan-pan ka vaibhav
Sab tumse aata
Om jai Lakshmi Mata
Shubh-gun mandir sundar
Kshirodadhi-jata
Ratna chaturdash tum bin
Koi nahi pata
Om jai Lakshmi Mata
Mahalakshmi ji ki aarti
Jo koi jan gata
Ur anand samata
Paap utar jata
Om jai Lakshmi Mata
Source: Traditional Lakshmi aarti, as commonly recited. Summary original to Sadhana.