Om jai Jagdish Hare
Swami jai Jagdish Hare
Bhakt jano ke sankat
Das jano ke sankat
Kshan mein dur kare
Om jai Jagdish Hare
Jo dhyave phal pave
Dukh binse man ka
Swami dukh binse man ka
Sukh sampati ghar aave
Sukh sampati ghar aave
Kasht mite tan ka
Om jai Jagdish Hare
Mat pita tum mere
Sharan kahun kis ki
Swami sharan kahun kis ki
Tum bin aur na duja
Tum bin aur na duja
Aas karun jis ki
Om jai Jagdish Hare
Tum puran Paramatma
Tum Antaryami
Swami tum Antaryami
Par Brahm Parameshwar
Par Brahm Parameshwar
Tum sabke swami
Om jai Jagdish Hare
Tum karuna ke sagar
Tum palan karta
Swami tum palan karta
Main murakh khal kami
Main sevak tum swami
Kripa karo bharta
Om jai Jagdish Hare
Tum ho ek agochar
Sabke pranapati
Swami sabke pranapati
Kis vidhi milun dayamay
Kis vidhi milun dayamay
Tumko main kumati
Om jai Jagdish Hare
Dinbandhu dukh harta
Thakur tum mere
Swami thakur tum mere
Apne hath uthao
Apne sharan lagao
Dwar pada tere
Om jai Jagdish Hare
Vishay vikar mitao
Pap haro deva
Swami pap haro deva
Shraddha bhakti badhao
Shraddha bhakti badhao
Santan ki seva
Om jai Jagdish Hare
Tan man dhan sab kuch hai tera
Swami sab kuch hai tera
Tera tujhko arpan
Tera tujhko arpan
Kya lage mera
Om jai Jagdish Hare
Source: Traditional household aarti to Vishnu as Jagadish, as commonly recited. Often associated with Shardha Ram Phillauri (19th c.). Summary original to Sadhana.